AmAn Admin


Number of posts: 428 Reputation: 0 Registration date: 2008-10-20 Age: 24
 | Subject: Aik Kissa Hoon Purana Sa Thu Oct 08, 2009 12:38 am | |
| Gungunatay Hue Anchal Ki Hawa Deh Mujh Ko Ungliyaan phair Ke BAloon Main Sunlla Deh Mujh Ko
Jis Tarah Faltu Guldaan Paray Rehtay Hain Apne Ghar Ke Kisi Konay Se Lagga Deh Mujh Ko
Yaad Kar Ke Mujhe Takleef He Hoti Hogii Aik Kissa Hoon Purana Sa Bhulla Deh Mujh Ko
Doobtay Doobtay Awaaz Teri Sunn Jaoon Akhiri Baar Tu Sahil Se Sadah Deh Mujh Ko
Main Tere Hijr Main Chup Chaap Na Marr Jaoon Kahin Main Hoon Saktay Main Kabhii Aa Ke Rulla Deh Mujh Ko
Dekh Main Hogaya Badnaam Kitaboon Ki Tarah Merii Tasheer Na Kar Ab Tu Jalla Deh Mujh Ko
Rhootna Tera Meri Jaan Liye Jata Hai Aesay Naraaz Na Ho Hanse Ke Dekha Deh Mujh Ko
Aur Kuch Bhi Nahi Manga Mere Malik Tujh Se Us Ki Galiyoon Main Parii Khaak Banaa Deh Mujh Ko
Log Kehtay Hain Ke Yeh Ishq Niggal Jata Hai Main Bhi Is Ishq Main Aya Hoon,Dua Deh Mujhe Ko
Yahi Okaat Hai Meri Tere Jeevan Mein Ke Main Koi Kamzoor Sa Lamha Hoon, Bhulla Deh Mujh Ko!!!!!!!! |
|
jAnnAt Admin


Number of posts: 243 Reputation: 11 Registration date: 2008-10-25
 | Subject: Re: Aik Kissa Hoon Purana Sa Thu Oct 08, 2009 11:19 am | |
| Kaho In Bolti Ankhon Se Ke Khamosh Ho Jaayen..
Andheri Raat Mein Roshan Sitara Kis Ne Dekha Hai.. Samundar Ke Safar Mein Haan Kinara Kis Ne Dekha Hai.. Sanbhal Jaa Aae Dil Ke Tumhein Samjhaaye Jaatey Hein.. Kaheen Aisa Na Ho Hum InKi Gehraai Mein Kho Jaayen..
Kaho In Bolti Ankhon Se Ke Khamosh Ho Jaayen..
Yeh Chaha Kub Tha InKi Aseeri Chore Jana Hai.. Magar Kismat Mein Likha Tha So Likha Tha Humne Mana Hai.. Humein Aise Jo Dekhain gay To Ab Bhi Na Paayen gay.. Na Paas aao Ke Jaatey Wakt Hum Qurbat Pe Ro Jaayen gay..
Kaho In Bolti Ankhon Se Ke Khamosh Ho Jaayen..
Humara Muskra Kar Alwida Kehna Inhe JANA.......... Magar Yeh Kia Abhi Se In Mein Saawan Utar Aaya? Inhe Rooko Humare Dil Ka Yun Na Imtihaan Lain Ab.. Yeh Baadal Ab Kaheen Mun Ko Humare Na Bhigo Jaayen..
Kaho In Bolti Ankhon Se Ke Khamosh Ho Jaayen..
Dua Hai Yeh Sadah Hansti Rahein Roshan Rahein Har Dum.. Zamane Bhar Ki Hon Khushian, Yeh Na Dekhen Ab Koi Gham.. Meri Ankhon Ke Jugno Bhi Inhi Ki Shaam Mein Chamkein.. Khudaya ! saare Mausam In Mein Rang o Bu Sama jaayen..
Kaho In Bolti Ankhon Se Ke Khamosh Ho Jaayen |
|