AmAn Admin


Number of posts: 428 Reputation: 0 Registration date: 2008-10-20 Age: 24
 | Subject: Hain kayee hijr darmiyaan jaana Mon Sep 21, 2009 7:33 pm | |
| Hum kahan aur tum kahan jaana Hain kayee hijr darmiyaan jaana . . Raayegaan wasl mein bhi waqt hua Par hua khawab raayegaan jaana . . Mere andar hi tu kaheen gum hai Kiss se poochhoon tera nishan jaana . . Aalam-E-Baikaraan-E-Rang hai tu Tujh mein thehroon kahan khan jaana . . Roshni bhar gayee nigaahon mein Ho gaye khawab bay amaan jaana . . Ab bhi jheelon mein aks parrtay hain Ab bhi neela hai aasmaan jaana . . Hai jo pur khoon tumhara aks-e-khayaal Zakhm aaye kahan kahan jaana....!!! |
|